Friday 28 October 2011

mera bharat mahan

jab zero diya mere bharat ne,
duniya ko tab gintee aayi

taro ki bhasha bharat ne,
duniya ko pehle sikhayi

deta na dashmal bharat toh,
yun chand per jana mushkil tha

dharti aur chand ki doori ka,
andaaza lagana mushkil tha

sabhayata jahan pehle aayi,
pehle janmi hai jahan kala

apna bharat woh bharat hai,
jiske peeche hai sansaar chala

bhagwan kare ye aur badhe,
bhadta hi rahe aur fule fale

1 comment: